August 19, 2006

Guidance for a Project Team Member

Having finished a project, as a project team member you may have no control over what your next assignment might be. Hopefully, it will be a challenging assignment, but you should be careful not to be over confident and to quietly accept whatever you are asked to do. Saliq Lakhnavi offers some practical guidance.

I accept whatever you might give me, but there is an important request.
You should not give me less than my desires nor more than my capabilities.
Saliq Lakhnavi

मुझे जो भी दे वो क़ुबूल है मेरी इल्तिजा ये ज़रूर है
मेरी आरज़ू से भी कम न दे मेरे ज़र्फ़ से भी सिवा न दे
सालिक़ लखनवी

مجھے جو بھی دے وہ قبول ہے میری التجاء یہ ضرور ہے
میری آرزو سےبھی کم نہ دے میرے ظرف سے بھی سوا نہ دے
سالق لکھنوی

[iltijaa = request; zarf = ingenuity, capability; sivaa = more, over and above]


With this in mind, be prudent and recognize your capabilities. Push for challenges so that you can improve your skills, but do not let others position you for potential failures by assigning you to tasks that you know are beyond your abilities. This will only hurt you and your team.

1 Comments:

Anonymous Anonymous said...

Janaab Bill Faanuus* Sahab,

Aadaab Arz,

Eik khoobsurat blog ke liye meri jaanib se mubarakbaad
qabool farmaaiye.

Aapney eik sheir ataa kiya hai:

" I accept whatever you might give me, but there is an important request.
You should not give me less than my desires nor more than my capabilities."

Saliq Lakhnavi

mujhey aapse eik guzaarish yeh karna hai ke agar aap
sheir ko Roman mein bhi likh diya kareiN to behtar hoga.

Doosri eik zaroori baat, woh yeh ke iss shayer ka takhallus
SAaLIK* hai, na ke Saliq.

Inka naam Syed Mohammed Hasan, Saalik* takhallus tha. Unki Urfiyat
Munna MiaN thi. Saalik Sahab ke bhaai Mahir* Lucknawi bhi eik
mash'hoor shaaer thEy.

Saalik Lucknawi ke kuch aur ashaar haazir'e khidmat haiN:

yeh kaun kahta hai, aainaey wafa hoon maiN
magar jafaaoN ki tasweer deikhta hooN maiN

----------

lEy aaya zauq'e sajda, na jaan'e kahaaN mujhEy
maaluum ho rahi hai, zameeN aasmaaN mujhEy

----------

yeh ashk'e ghamm nahiN, naal'e nahiN, nahiN aaNsu
yeh surkhiyaaN haiN, musalsal mer'e fasaan'e ki

yeh daastaan'e alam kab rahi sunaan'e ki
wo kya phir'e ke nazar phir gaii zamaan'e ki

--------------

abhi se aapki aaNkhoN meiN aa gaEy aaNsu
abhi to apni kahaani kahi nahiN maiN ne

--------------

hamaari aaNkh meiN jab tak thEy, chAnd aaNsu thEy
yeh ashk phool ban'e aap hi ke daaman meiN

--------------

dil ke kahn'e meiN aa gaeeN aaNkhein
jaan kar choat kha gaeeN aaNkheiN

hoash itna kahaan ke batlaauN
maiN ne pii, ya pila gaeen aankhein

koi saaghar jo saamn'e chalka
aapki yaad aa gaeeN aaNkeiN

1:39 AM  

Post a Comment

<< Home